Saturday, January 7, 2012

Waqqt Aur Zindagi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqqt aur Zindagi ka kaisa Ajeeb sa ye Ruswa hai, ::

Zindagi ke Palon se poochha ki Waqqt kya hai, :
Usne kaha Palon ka Guzarna Waqqt hai. ::


Jab Darya k behne se Raftaar ka Taqaaza ho, :
Jab Panchhiyon ki Udaan se Jalan Hone lage, :
Jab Behti Hawa me bhi Ghabrahat hone lage, :
Use Waqqt ki Bechaini kehte hain. ::


Waqqt se jo poochha, ki Zindagi kya hai, :
Usne Kaha, Palon ka Theherna Zindagi hai.. ::


Jab Neele Ambar tale Sukoon Mehsoos ho, :
Jab Foolon ki Mehak se Rooh ko Tasalli Mile, :
Jab Doston ki Awaaz sunte hi Jannat me hone ka Ehsaas ho, :
Use Zindagi Jeene ki Ada kehte hain! ::


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~