Sunday, August 26, 2012

Dost aur Saathi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyu wo Dosti yad aati hai, Kyu wo din yaad aate hain,
Kyu ab Inteha nahi hoti, Kyu ab wo yad nahi bhulti?

Kab aayega Mausam Bahaar ka, Kab chalegi yeh Hawa..
Uljhi si hai ye Zindagi, ye kab Suljhegi?


Kuch yaaden chhod aayen hai, Kuch aaj bhi sath hain,
Ab toh wo bhi keh chuke, ke wo bas ek meethi si yaad thi..

Toh kyu ye chaaen nahi aata, Toh kyu ye sukoon nahi milta?

Wo toh kab ke keh chuke.. , woh sab puraani baat hai,
Ab ye Dil kab maanega, Un lamhon ko kab bhula payega?


Is ek-rasta si zindagi me kab dhoop aayegi?

Galat kya hai aur Sahi kya, ab yeh aalam sab jaanta hai.

Dost kaun hota hai aaj har koi pehchanta hai..

magar dekhiye sitam aaj is vaar ka..
Saathi kaun hai yeh Koi Nahi Jaanta!


~Baashindah~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Saturday, January 7, 2012

Waqqt Aur Zindagi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqqt aur Zindagi ka kaisa Ajeeb sa ye Ruswa hai, ::

Zindagi ke Palon se poochha ki Waqqt kya hai, :
Usne kaha Palon ka Guzarna Waqqt hai. ::


Jab Darya k behne se Raftaar ka Taqaaza ho, :
Jab Panchhiyon ki Udaan se Jalan Hone lage, :
Jab Behti Hawa me bhi Ghabrahat hone lage, :
Use Waqqt ki Bechaini kehte hain. ::


Waqqt se jo poochha, ki Zindagi kya hai, :
Usne Kaha, Palon ka Theherna Zindagi hai.. ::


Jab Neele Ambar tale Sukoon Mehsoos ho, :
Jab Foolon ki Mehak se Rooh ko Tasalli Mile, :
Jab Doston ki Awaaz sunte hi Jannat me hone ka Ehsaas ho, :
Use Zindagi Jeene ki Ada kehte hain! ::


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~